
Dunya bhar ke tamam musalmanon ko chahiye keh woh apne islami saal aur islami mahinon ko yaad rakhein aur apne ghar walon aur ahle o ayal ko bhi takeed karein keh inhein yaad rakhein. Khat o kitabut aur apne digar amoor mein jahan tak ho sake iswi tareekh ke sath sath islami tareekh , islami mahinah aur islami saal bhi likha karein aur koshish karein keh apni islami o qomi rawayaat ko apnayein aur inhein farogh dein.
Yun to muharram ul haram ka poora mahinah hi bari azmaton o barkaton wala hai, magar is ki 10 tareekh yani ashurah ka din buhat ziadah ahmiyat ka hamil hai. islami tareekh shahid hai keh is ahum din bare bare kam anjaam diye gaye. 10 muharramul haram yani aashure ke din Hazrat Adam (A.S) aur Amma Hawa ko paida kia gia aur isis din in ki tobah qabool ki gayi, isis din inhein jannat mein dakhil kia gia, is din arsh, kursi, zameen o aasman, chand suraj , sitare aur jannat paida ki gayi. Isi din Hazrat Ibraheem (A.S) paida huye. Isi din inhein Aag mein dala gia aur yahi woh ahum din tha jab inhein Aag se nijaat mili. Isi din Allah tala ne bani Israil ko Firon ke zulm o sitam se nijaat delayi aur Firon apne lashkar ke sath darya e Neel mein gharq ho gia. Isi din Hazrat Isa (A.S) paida huye aur isi din inhein aasmano ki taraf uthaya gia. Isi din Hazrat Idrees (A.S) ko bhi aasman ki taraf uthaya gia. Isi din Hazrat Nooh (A.S) ki kashti jodi pahar par thehri. Isi din Hazrat Sulaiman (A.S) ko Allah tala ne azeem saltanut ata ki. Isi din Hazrat Yunus (A.S) machli ke pait se bahir aye aur in ki qom ki tobah bhi qabool huyi. Isi din Hazrat Yaqoob (A.S) ki binayi lotayi gayi. Isi din Hazrat Yousaf (A.S) ko gehre kunwon(Well) se nijaat mili aur woh bahir nikale gaye . Isi din Hazrat Ayoob (A.S) ko mozi bimaari se shafa mili . Aasmaan se is zameen par pehli barish bhi 10 muharram ul haram ko huyi. Isi din syed ul shohda Hazrat Imaam Hussain ko maidan e karbala mein bhooka piyasa shaheed kar dia gia. Rawayaat mein aata hai keh 10 muharram ul haram baroz jumma qiyamat qaim hogi.
Aashurah ke din nek aamal karne ka bara aala sawab hai. Aik rawayat mein hai keh jis kisi ne aashurah ke din apne ghar walon aur ahe e ayal par wasyut ki, allah tala sara saal is ko wasyut aur barkat ata farmata hai. Aik aur rawayat mein yeh bhi aaya hai keh jo koi aashure ke din aik darhum ka sadqah kare ga, Allah tala ise saat lakh darhum rah kudh mein dene ka sawab ata farmaye ga. Jo shakhs poore iman aur yaqeen ke sath is din apni aankhon mein surmah lagaye ga, is ki aankhein saal bhar dukhne se mehfooz rahein gi aur jis ne is din ghusal kia, woh saal bhar bimar nahi hoga.
Aashure ke roze ki bhi bari fazilat hai. Jab hamare pyare nabi Hazrat Muhammad (S.A) madinah tashreef laye to aap (S.A) ne yahood madinah ko ashure ke din roze rakhte dekha. Aap (S.A) ne in se is ki wajah daryaaft farmayi to inhon ne kaha, "Yeh aisa din hai jis mein Allah tala ne Hazrat Musa (A.S) aur Bani Israil ko Firon aur is ki qom par ghalbah ata farmaya tha, lehaza hum taaziman is din ka roza rakhte hain.
Cchunan chah Hazrat Muhammad (S.A) ne ahal e iman ko bhi is din ka roza rakhne ka hukum dia. Ashuray ka roza degar ummaton mein bhi tha, yehan tak keh yeh bhi kaha gia hai keh ramzan ul mubarak ke roze farz hone se pehle is din ka roza farz tha, magar baad mein jab ramzan ke roze farz huye to ise mansookh kar dia gia. Hazrat Muhammad (S.A) ne hijrat se pehle bhi is din ka roza rakha tha . Jab aap (S.A) madinae tashreef laye to aap (S.A) is din ki justajoo karne ki takeed ki, yahan tak keh aap (S.A) ne aakhri umer mein irshad farmaya " agar mein aaindah saal tak zindah raha to 9 aur 10 muharram ul haram ka roza rakhon ga. Magar phir aap (S.A) ne hukum ilahi se isi saal wasal farmaya, magar aap (S.A) ne is maah muharram ke 9, 10, 11 tinon tareekhon ke roze rakhne pasand farmaye.
Sarwar e Aalam (S.A) ka irshad paak hai: " is din (aashurah) se aik din pehle aur aik din baad roza rakho aur yahood ke tariqe ki mukhalfat karo, kiun keh woh aik din hi ka rozah rakhte hain. " yani agar Allah tala ne roza rakhne ki himmat di hai to 9,10,11 muharram ka roza rakhna chahiye.
Tamam farzandan e toheed ko chahiye keh muharram ul haram ko Allah ki atayat o bandagi mein basar karein. Is maah mutaddid Allah walon ka wasal hua. Muharram ki pehli tareekh ko Hazrat Umer Farooq (R.A) ki shahadat bhi huyi thi. Allah tala se dua hai keh woh hamein muharramul haram ka akram karne ki tofeeq ata farmaye (ameen)
Jumma Aur Muharram ul Haram K Din Ka Khas Mujrab Amal#Har Hajat Puri Insha Allah totkay in urdu | |
206 Likes | 206 Dislikes |
21,588 views views | 508K followers |
People & Blogs | Upload TimePublished on 26 Sep 2017 |
Không có nhận xét nào:
Đăng nhận xét